اردو हिंदी
Us se kah do ki wo jafa na kare | Shaahi Shayari
us se kah do ki wo jafa na kare

Ghazal

Us se kah do ki wo jafa na kare

Muztar Khairabadi

;

us se kah do ki wo jafa na kare
kahin mujh sa use KHuda na kare

aaina dekh kar ghurur fuzul
baat wo kar jo dusra na kare

main masiha use samajhta hun
jo mere dard ki dawa na kare

'muztar' us ne sawal-e-ulfat par
kis ada se kaha KHuda na kare