اردو हिंदी
Us se ji bhar ke mili dad-e-tamanna mujhko | Shaahi Shayari
us se ji bhar ke mili dad-e-tamanna mujhko

Ghazal

Us se ji bhar ke mili dad-e-tamanna mujhko

Manzar Lakhnavi

;

us se ji bhar ke mili dad-e-tamanna mujh ko
jis ne taswir teri dekh ke dekha mujh ko

dekhne wale ye kis shan se dekha mujh ko
aaj duniya ke maze de gai duniya mujh ko

jazb-e-dil tere karishmon ne ulaT di duniya
ab sunate hain wo KHud mera fasana mujh ko

be-tahasha teri taswir pe jati hai nigah
jab koi kahta hai taqdir ka mara mujh ko

ek dhaj aalam-e-wahshat mein badalta hun rose
chahta hun ki kahen log tumhaara mujh ko

ghar ko chhoDa hai KHuda jaane kahan jaane ko
ab samajh lijiye TuTa hua tara mujh ko

dil lahu kar gaya aaghaz-e-mohabbat 'manzar'
aur abhi dekhna baqi hai natija mujh ko