us peD ko chhua to samar-dar ho gaya
phir jaane kya hua wo sharar-bar ho gaya
mausam ki bhul thi ki meri dastaras ki baat
patthar se ek phul numudar ho gaya
bikhre hue hain dil mein meri KHwahishon ke rang
ab main bhi ek saja hua bazar ho gaya
ek bar main bhi KHwab mein baiTha tha taKHt par
aankhen khulin to aur bhi nadar ho gaya
pahle to sar ko phoD liya us ko dekh kar
phir main bhi ek rauzan-e-diwar ho gaya
waise tamam umr meri nind mein kaTi
ghar mein naqab lagi to main bedar ho gaya
yaro ye zindagi ka makan bhi ajib hai
tamir ho gaya kabhi mismar ho gaya
lafzon ke phul aanch si dene lage mujhe
bebak aaj shoala-e-guftar ho gaya
dushman nazar paDa to miTin ranjishen tamam
laDne ko sara shahr hi tayyar ho gaya
mujrim bari hua to kai qatl ho gae
basti ka ek gharib giraftar ho gaya
'afzal' kuchh is tarah ki achanak hawa chali
sansen bahaal rakhna bhi dushwar ho gaya
Ghazal
Us peD ko chhua to samar-dar ho gaya
Afzal Minhas