us ne puchha bhi magar haal chhupae gae hum
apne hi aap mein ek hashr uThae gae hum
zindagi dekh ki ehsan tere kitne hain
dil ke har dagh ko aaina banae gae hum
phir wahi sham wahi dard wahi apna junun
jaane kya yaad thi wo jis ko bhulae gae hum
kin darichon ke charaghon se hamein nisbat thi
ki abhi jal nahin pae ki bujhae gae hum
umr bhar hadse hi karte rahe istiqbaal
waqt aisa tha ki sine se lagae gae hum
raste dauDe chale jate hain kin samton ko
dhup mein jalte rahe sae bichhae gae hum
dasht-dar-dasht bikharte chale jate hain 'shanas'
jaane kis aalam-e-wahshat mein uThae gae hum
Ghazal
Usne puchha bhi magar haal chhupae gae hum
Faheem Shanas Kazmi