us ne kiya hai wada-e-farda aane do us ko aae to
nam badal dena phir mera lauT ke wapas jae to
arz-e-tamanna karenge us se agar na wo Thukrae to
us se zarur milenge ja kar pahle hamein bulae to
izzat-e-nafs ka hai ye taqaza husn-e-suluk karen donon
us ko hum labbaik kahenge rasm-e-wafa nibhae to
safha-e-zehn pe naqsh hai us ka mere abhi tak naz-o-niyaz
jaise sharmata tha pahle waise hi sharmae to
ruThne aur manane ke ehsas mein hai ek kaif-o-surur
main ne hamesha use manaya wo bhi mujhe manae to
kyun rahta hai mujh se bad-zan hai jo mera manzur-e-nazar
kuchh nahin aata meri samajh mein koi mujhe samjhae to
KHun-e-jigar se sinchunga gulzar-e-tamanna us ke liye
bagh-e-hayat mein gul-e-mohabbat aa kar mere khilae to
fasl-e-KHizan mein kya hoga aasar numayan hain jis ke
fasl-e-bahaar mein 'barqi' apne dil ki kali murjhae to
Ghazal
Usne kiya hai wada-e-farda aane do usko aae to
Ahmad Ali Barqi Azmi