us ne ek bar bhi puchha nahin kaisa hun main
KHud ko bhi jis ke liye haar ke baiTha hun main
phul hone ki saza KHub mili hai mujh ko
shaKH se TuT ke gul-dan mein rakkha hun main
chalta rahta hun to lagta hai koi sath mein hai
thak ke baiThunga to yaad aaega tanha hun main
gum hua KHud mein to ek nuqta-e-mauhum hua
munkashif hote hi atraf pe chhaya hun main
is saliqe se mujhe qatl kiya hai us ne
ab bhi duniya ye samajhti hai ki zinda hun main
phir achanak ye hua jit gai ye duniya
main samajhta tha ki bas jitne wala hun main
wo bhi rasman yahi puchhega ki kaise ho tum
main bhi hanste hue kah dunga ki achchha hun main
Ghazal
Usne ek bar bhi puchha nahin kaisa hun main
Tariq Qamar