us ku main hue hum wo lab-e-baam na aaya
ai jazba-e-dil tu bhi kisi kaam na aaya
tha meri tarah ghair ko bhi dawa-e-ulfat
naseh tu use dene ko ilzam na aaya
be-baal-o-pari khoti hai tauqir-e-asiri
sayyaad yahan le ke kabhi dam na aaya
is naz ke sadqe hun tere main ki udu se
sau bar suna hai pe mera nam na aaya
kya jaaniye kis tarah diya tu ne jawab aah
qasid ki zaban par tera paigham na aaya
taskin' karun kya dil-e-muztar ka ilaj ab
kam-baKHt ko mar kar bhi to aaram na aaya
Ghazal
Us ku main hue hum wo lab-e-baam na aaya
Taskeen Dehlavi