us ko ye zid hai ki rah jae badan sar na rahe
ghumti jae zamin aur koi mehwar na rahe
us ne himmat jo baDhai bhi to rakkha ye lihaz
koi buzdil na bane koi dilawar na rahe
us ne is tarah utari mere gham ki taswir
rang mahfuz to rah jaen pa manzar na rahe
us ne kis naz se baKHshi hai mujhe ja-e-panah
yun ki diwar salamat ho magar ghar na rahe
ab ye sazish hai ki likkhe na koi qissa-e-dil
lafz rah jae magar koi suKHan-war na rahe
ab ke aandhi bhi chali jab to saliqe se chali
yun ki rah jae shajar shaKH samar-war na rahe
Ghazal
Usko ye zid hai ki rah jae badan sar na rahe
Mazhar Imam