اردو हिंदी
Usko ye zid hai ki rah jae badan sar na rahe | Shaahi Shayari
usko ye zid hai ki rah jae badan sar na rahe

Ghazal

Usko ye zid hai ki rah jae badan sar na rahe

Mazhar Imam

;

us ko ye zid hai ki rah jae badan sar na rahe
ghumti jae zamin aur koi mehwar na rahe

us ne himmat jo baDhai bhi to rakkha ye lihaz
koi buzdil na bane koi dilawar na rahe

us ne is tarah utari mere gham ki taswir
rang mahfuz to rah jaen pa manzar na rahe

us ne kis naz se baKHshi hai mujhe ja-e-panah
yun ki diwar salamat ho magar ghar na rahe

ab ke aandhi bhi chali jab to saliqe se chali
yun ki rah jae shajar shaKH-e-samar-war na rahe

ab ye sazish hai ki likkhe na koi qissa-e-dil
lafz rah jaen magar koi suKHan-war na rahe