اردو हिंदी
Usko tum mere talluq ka hawala dete | Shaahi Shayari
usko tum mere talluq ka hawala dete

Ghazal

Usko tum mere talluq ka hawala dete

athar shakeel

;

us ko tum mere talluq ka hawala dete
main bhi kal us ka shanasa tha ye samjha dete

ye amawas ka andhera hai ki chhuTta hi nahin
kash wo aa ke kabhi ghar ko ujala dete

hum ne duniya ka bahut sath diya hai ab tak
kash ek bar kabhi sath hum apna dete

hum tahi-dast sahi phir bhi saKHi hain itne
qatra milta to ewaz mein tumhein dariya dete

dil-shikasta ki tasalli ko hai duniya lekin
kash wo bhi to kabhi aa ke sahaara dete

sirf ghaflat ko to sona nahin kahte 'athar'
aankhon ko nind hi ke sath mein sapna dete