us ko na KHayal aae to hum munh se kahen kya
wo bhi to mile hum se hamin us se milen kya
lashkar ko bachaengi ye do-chaar safen kya
aur un mein bhi har shaKHs ye kahta hai hamein kya
ye to sabhi kahte hain koi fikr na karna
ye koi batata nahin hum ko ki karen kya
ghar se to chale aate hain bazar ki jaanib
bazar mein ye sochte phirte hain ki len kya
aankhon ko kiye band paDe rahte hain hum log
is par bhi to KHwabon se hain mahrum karen kya
do chaar nahin sainkaDon sher us pe kahe hain
is par bhi wo samjhe na to qadmon pe jhuken kya
jismani talluq pe ye sharmindagi kaisi
aapas mein badan kuchh bhi karen is se hamein kya
KHwabon se bhi milte nahin haalat ke Dar se
mathe se baDi ho gain yaro shikanen kya
Ghazal
Usko na KHayal aae to hum munh se kahen kya
Shuja Khaavar