us ko dekha to dikha kuchh bhi nahin
luT gaya sab kuchh bacha kuchh bhi nahin
soch kar nara lagaya ishq ne
wo mila hai to gaya kuchh bhi nahin
ishq zinda yar zindabaad hai
is se aage ka pata kuchh bhi nahin
sach bataun dard bhi saughat hai
warna aahon ko mila kuchh bhi nahin
hum ko pagal kah raha hai ye jahan
is ko lagta hai hua kuchh bhi nahin
apni mahfil mein akela tha wahi
sari mahfil mein dikha kuchh bhi nahin
ishq ki itni haqiqat hai 'ziya'
us ki marzi ke siwa kuchh bhi nahin

Ghazal
Usko dekha to dikha kuchh bhi nahin
Sayed Zia Alvi