us ki nazron mein intiKHab hua
dil ajab husn se KHarab hua
ishq ka sehr kaamyab hua
main tera tu mera jawab hua
har nafas mauj-e-iztirab hua
zindagi kya hui azab hua
jazba-e-shauq kaamyab hua
aaj mujh se unhen hijab hua
main banun kis liye na mast-e-sharab
kyun mujassam koi shabab hua
nigah-e-naz le KHabar warna
dard mahbub-e-iztirab hua
meri barbaadiyan durust magar
tu bata kya tujhe sawab hua
ain qurbat bhi ain furqat bhi
hae wo qatra jo habab hua
mastiyan har taraf hain aawara
kaun ghaarat-gar-e-sharab hua
dil ko chhuna na ai nasim-e-karam
ab ye dil rau-kash-e-habab hua
ishq-e-be-imtiyaz ke hathon
husn KHud bhi shikast-yab hua
jab wo aae to pesh-tar sab se
meri aankhon ko izn-e-KHwab hua
dil ki har chiz jagmaga uTThi
aaj shayad wo be-naqab hua
daur-e-hangama-e-nashat na puchh
ab wo sab kuchh KHayal o KHwab hua
tu ne jis ashk par nazar Dali
josh kha kar wahi sharab hua
sitam-e-KHas-e-yar ki hai qasam
karam-e-yar be-hisab hua
Ghazal
Uski nazron mein intiKHab hua
Jigar Moradabadi