us ki har baat ne jadu sa kiya tha pahle 
kitna dilchasp kahani ka KHuda tha pahle 
KHwab-lamha teri KHushbu mein basa tha pahle 
be-KHabar nind mein ek phul khila tha pahle 
koi tasir thi jo gham ko bhula deti thi 
tere andar koi fankar chhupa tha pahle 
ye badan ab tujhe be-ruh khanDar lagta hai 
is haweli mein ek insan jiya tha pahle 
waqt par maut ki lazzat bhi nahin de paya 
mujh ko wo aadmi hira hi laga tha pahle 
ek sweater ne baDha di thi jawani meri 
tum ne mere liye ek KHwab buna tha pahle 
main jo kahta tha wahi baat hua karti thi 
mere ghar mein koi jadu ka diya tha pahle 
kaise aata hai dabe panw gunahon ka KHayal 
kitni KHamoshi se darwaza khula tha pahle 
jo bhi chehra tha wo apna sa laga karta tha 
mai-kada raqs mein jab jhum raha tha pahle 
uTh gaya hai to ab is shahr ko le Dubega 
wahi tufan mere andar jo daba tha pahle
        Ghazal
Uski har baat ne jadu sa kiya tha pahle
Fay Seen Ejaz

