اردو हिंदी
Uski diwar ka jo rauzan hai | Shaahi Shayari
uski diwar ka jo rauzan hai

Ghazal

Uski diwar ka jo rauzan hai

Kishan Kumaar Waqaar

;

us ki diwar ka jo rauzan hai
KHur ka chashm-o-charag raushan hai

lutf-e-mufrat se dost dushman hai
barish-e-besh barq-e-KHirman hai

gosha-giri mein hirs afzun ho
subh shabnam ko fikr-e-raftan hai

ishq mein tere tar tar ai shoKH
jeb ghunche ki gul ka daman hai

shauq mein teri tegh ka yaksar
shama san tan tamam gardan hai

bahs karta hai shaiKH kabe se
jo tere dair ka barahman hai

surKH mehndi hui hai us ki siyah
rang-e-shadi mein rang-e-shewan hai

tum ne khole chaman mein band-e-qaba
baal parwaz-e-rang-e-gulshan hai

jo zamin-e-suKHan hai us mein 'waqar'
ek muddat se mera maskan hai