us ki aankhon mein tamanna-e-sahar rakh dena
sina-e-shab mein kisi baat ka Dar rakh dena
aaj guzrega isi samt se wo mahr-e-badan
dil ke raste mein zara chand shajar rakh dena
ye na kahna ki andhera hai bahut rahon mein
us se milna to hatheli pe qamar rakh dena
us ko ashaar sunana to karamat ke sath
apne TuTe hue lafzon mein asar rakh dena
wardaten to kai shahr mein guzri hongi
aaj aKHbar mein meri bhi KHabar rakh dena
jis waraq par hai hadis-e-lab-o-ruKHsar raqam
us waraq par koi barg-e-gul-e-tar rakh dena
ek mahtab daraKHshan hai sar-e-baam-e-KHayal
meri aankhon mein bhi nairang-e-nazar rakh dena
lala-e-sang se tarashe wo koi paikar-e-sang
dast-e-sanna mein ek ye bhi hunar rakh dena
Ghazal
Uski aankhon mein tamanna-e-sahar rakh dena
Mazhar Imam