us ke pahlu se lag ke chalte hain
hum kahin Talne se Talte hain
band hai mai-kadon ke darwaze
hum to bas yunhi chal nikalte hain
main usi tarah to bahalta hun
aur sab jis tarah bahalte hain
wo hai jaan ab har ek mahfil ki
hum bhi ab ghar se kam nikalte hain
kya takalluf karen ye kahne mein
jo bhi KHush hai hum us se jalte hain
hai use dur ka safar dar-pesh
hum sambhaale nahin sambhalte hain
sham furqat ki lahlha uThi
wo hawa hai ki zaKHm bharte hain
hai ajab faisle ka sahra bhi
chal na paDiye to panw julte hain
ho raha hun main kis tarah barbaad
dekhne wale hath malte hain
tum bano rang tum bano KHushbu
hum to apne suKHan mein Dhalte hain
Ghazal
Uske pahlu se lag ke chalte hain
Jaun Eliya