us ke nazdik gham-e-tark-e-wafa kuchh bhi nahin 
mutmain aisa hai wo jaise hua kuchh bhi nahin 
ab to hathon se lakiren bhi miTi jati hain 
us ko kho kar to mere pas raha kuchh bhi nahin 
chaar din rah gae mele mein magar ab ke bhi 
us ne aane ke liye KHat mein likha kuchh bhi nahin 
kal bichhaDna hai to phir ahd-e-wafa soch ke bandh 
abhi aaghaz-e-mohabbat hai gaya kuchh bhi nahin 
main to is waste chup hun ki tamasha na bane 
tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuchh bhi nahin 
ai 'shumar' aankhen isi tarah bichhae rakhna 
jaane kis waqt wo aa jae pata kuchh bhi nahin
        Ghazal
Uske nazdik gham-e-tark-e-wafa kuchh bhi nahin
Akhtar Shumar

