us ke gulabi honT to ras mein base lage
lekin badan ke zaiqe be-kaif se lage
TuTe qadam qadam pe jo apni lachak ke sath
wo daldalon mein zat ki mujh ko phanse lage
tamsil ban gae hain samundar ki jhag ki
sahra-e-gham ki rakh mein jo bhi dhanse lage
jin ka yaqin rah-e-sukun ki asas hai
wo bhi guman-e-dasht mein mujh ko phanse lage
hum le ke be-amani ko jangal mein aa gae
dil ko jo shahr-e-KHuban mein kuchh waswase lage
Ghazal
Uske gulabi honT to ras mein base lage
Hanif Tarin