us ke dhyan ki dil mein pyas jaga li jae
ek bhi sham na phir us ke nam se KHali jae
aaankhon mein kajal ki parat jama li jae
sakhiyon se yun prit ki jot chhupa li jae
ret hai suraj hai wusat hai tanhai
lekin nan is dil ki KHam-KHayali jae
aaankhon mein bhar kar is dasht ki hairani
wahshat ki umda taswir bana li jae
aap ne pahle bhi to mujh ko dekha hoga!
aap ke munh se aap ki baat chura li jae
sochon mein girdab se paDne lag jaen
aaankhon se phir aaTh pahar na lali jae
dil-azari ki miTTi se istada ghar
un be-faiz daron tak kaun sawali jae
Ghazal
Uske dhyan ki dil mein pyas jaga li jae
Ambarin Salahuddin