اردو हिंदी
Us ka chehra bhi chamak mein na misali nikla | Shaahi Shayari
us ka chehra bhi chamak mein na misali nikla

Ghazal

Us ka chehra bhi chamak mein na misali nikla

Gulzar Bukhari

;

us ka chehra bhi chamak mein na misali nikla
chand suraj ke ujalon ka sawali nikla

log samjha kiye mausam hi nahin uDne ka
us ki uzlat ka sabab be-par-o-baali nikla

phul to mil gaya KHushbu na magar hath lagi
us ko pane ka junun KHam-KHayali nikla

barish-e-sang mein bhi aai dua honTon par
sab ne kam-tar jise jaana tha wo aali nikla

be-hadaf tir chalata raha koi 'gulzar'
jab zarurat paDi tarkash wahan KHali nikla