اردو हिंदी
Us darbar mein lazim tha apne sar ko KHam karte | Shaahi Shayari
us darbar mein lazim tha apne sar ko KHam karte

Ghazal

Us darbar mein lazim tha apne sar ko KHam karte

Haidar Qureshi

;

us darbar mein lazim tha apne sar ko KHam karte
warna kam-az-kam apni aawaz hi maddham karte

is ki ana taskin nahin pati KHali lafzon se
shayad kuchh ho jata asar tum girya-e-paiham karte

sikh liya hai aaKHir hum ne ishq mein KHush KHush rahna
dard ko apni dawa banate zaKHm ko marham karte

kaam hamare hisse ke sab kar gaya tha diwana
kaun sa aisa kaam tha baqi jis ko ab hum karte

har jaane wale ko dekh ke rakh liya dil par patthar
kis kis ko rote aaKHir kis kis ka matam karte

dil to hamara jise patthar se bhi saKHt hua tha
patthar pani ho gaya sukhi aankhon ko nam karte

ban jata tiryaq usi ka zahr agar tum 'haidar'
koi aayat pyar ki paDhte aur us par dam karte