us bazm mein kya koi sune rae hamari
ye baat ye auqat kahan hae hamari
hum chahte kya hain nahin malum kisi ko
kis tarah tabiat koi bahlae hamari
guzri hai jawani baDi be-rah-rawi mein
ai kash zaifi bhi guzar jae hamari
is shahr mein rahna hai bayaban mein rahna
surat nahin pahchante ham-sae hamari
ye ghar ye gali zehn mein kar lijiye mahfuz
mumkin hai kabhi aap ko yaad aae hamari
Ghazal
Us bazm mein kya koi sune rae hamari
Anwar Shuoor