اردو हिंदी
Us baat ka koi ranj nahin hum uski tawajjoh pa na sake | Shaahi Shayari
us baat ka koi ranj nahin hum uski tawajjoh pa na sake

Ghazal

Us baat ka koi ranj nahin hum uski tawajjoh pa na sake

Farhat Shahzad

;

us baat ka koi ranj nahin hum us ki tawajjoh pa na sake
afsos hamein bas itna hai hum dil ka haal chhupa na sake

wo itna achchha hai us ko har koi apna kahta hai
par hum kyun apna samjhe the ye baat use samjha na sake

hum aaj se pahle zaKHmon par hansti aankhon se rote the
is bar magar dukh aisa hai hansna to juda muska na sake

do lafz bayan kar dete hain ek umr ka apni afsana
wo chhoD ke gulshan aa na saka hum chhoD ke sahra ja na sake

dil ek ziddi bachche ki tarah 'shahzad' se bigDa baiTha hai
juz ek naraaz se patthar ke koi aur use bahla na sake