us ada se bhi hun main aashna tujhe itna jis pe ghurur hai
main jiyunga tere baghair bhi mujhe zindagi ka shuur hai
na hawas mujhe mai-e-nab ki na talab saba-o-sahab ki
teri chashm-e-naz ki KHair ho mujhe be-piye hi surur hai
jo samajh liya tujhe ba-wafa to phir is mein teri bhi kya KHata
ye KHalal hai mere dimagh ka ye meri nazar ka qusur hai
koi baat dil mein wo Than ke na ulajh paDe teri shan se
wo niyaz-mand jo sar-ba-KHam kai din se tere huzur hai
mujhe dengi KHak tasalliyan teri jaan-gudaz tajalliyan
main sawal-e-shauq-e-visal hun to jalal-e-shoala-e-tur hai
main nikal ke bhi tere dam se na girunga apne maqam se
main 'qatil'-e-tegh-e-jafa sahi mujhe tujh se ishq zarur hai
Ghazal
Us ada se bhi hun main aashna tujhe itna jis pe ghurur hai
Qateel Shifai