unhon ne kya na kiya aur kya nahin karte
hazar kuchh ho magar ek wafa nahin karte
bura hun main jo kisi ki buraiyon mein nahin
bhale ho tum jo kisi ka bhala nahin karte
wo aaenge meri taqrib-e-marg mein tauba
kabhi jo rasm-e-ayaadat ada nahin karte
jahan gae yahi dekha ki log marte hain
yahi suna ki wo wada wafa nahin karte
kisi ke kam hain kisi ke bahut magar zahid
gunah karne ko kya parsa nahin karte
jo in hasinon pe marte hain jite-ji 'muztar'
wo intizar-e-payam-e-qaza nahin karte

Ghazal
Unhon ne kya na kiya aur kya nahin karte
Muztar Khairabadi