اردو हिंदी
Unhen ye fikr hai har dam nai tarz-e-jafa kya hai | Shaahi Shayari
unhen ye fikr hai har dam nai tarz-e-jafa kya hai

Ghazal

Unhen ye fikr hai har dam nai tarz-e-jafa kya hai

Chakbast Brij Narayan

;

unhen ye fikr hai har dam nai tarz-e-jafa kya hai
hamein ye shauq hai dekhen sitam ki intiha kya hai

gunah-garon mein shamil hain gunahon se nahin waqif
saza ko jaante hain hum KHuda jaane KHata kya hai

ye rang-e-be-kasi rang-e-junun ban jaega ghafil
samajh le yas-o-hirman ke maraz ki intiha kya hai

naya bismil hun main waqif nahin rasm-e-shahadat se
bata de tu hi ai zalim taDapne ki ada kya hai

chamakta hai shahidon ka lahu parde mein qudrat ke
shafaq ka husn kya hai shoKHi-e-rang-e-hina kya hai

umiden mil gain miTTi mein daur-e-zabt-e-aKHir hai
sada-e-ghaib batla de hamein hukm-e-KHuda kya hai