اردو हिंदी
Unhen sawal hi lagta hai mera rona bhi | Shaahi Shayari
unhen sawal hi lagta hai mera rona bhi

Ghazal

Unhen sawal hi lagta hai mera rona bhi

Aziz Qaisi

;

unhen sawal hi lagta hai mera rona bhi
ajab saza hai jahan mein gharib hona bhi

ye raat raat bhi hai oDhna-bichhauna bhi
is ek raat mein hai jagna bhi sona bhi

wo habs-e-dam hai zamin aasman ki wusat mein
ki aisa tang na hoga lahad ka kona bhi

ajib shahr hai ghar bhi hain raston ki tarah
kise nasib hai raaton ko chhup ke rona bhi

khule mein soenge phir motiya ke phulon se
sajao zulf basa lo zara bichhauna bhi

najat-e-ruh bhi arzan nushur-e-dil ki tarah
hua hai sahl zamiron ke dagh dhona bhi

'aziz' kaisi ye saudagaron ki basti hai
garan hai dil se yahan kaTh ka khilauna bhi