unhen fariyaad na-zeba lage hai
sitam karte bahut achchha lage hai
KHuda us bazm mein hafiz hai dil ka
yahan har roz ek charka lage hai
unhen apne bhi lagte hain parae
paraya bhi hamein apna lage hai
baghair us bewafa se ji lagae
jo sach puchho to ji kis ka lage hai
mohabbat dil-lagi jaano ho pyare
wahi jaane hai dil jis ka lage hai
uTha aage se saqi jam-o-mina
dil achchha ho to sab achchha lage hai
zara dekh aaina meri wafa ka
ki tu kaisa tha ab kaisa lage hai
ghazal sun kar meri kahne lage wo
mujhe ye shaKHs diwana lage hai
zarur aaya karo jalse mein 'ajiz'
na aao ho to sannaTa lage hai
Ghazal
Unhen fariyaad na-zeba lage hai
Kaleem Aajiz