un se wo rasm-e-mulaqat chali jati hai
ye bhi sau baat mein ek baat chali jati hai
wahi be-mehri-e-duniya ki shikayat hai jo thi
wahi be-kaifi-e-haalat chali jati hai
dil se kis tarah haTe saya-e-wahshat ki abhi
in nigahon ki karamat chali jati hai
meri aashufta-mizaji pe wo hans dete hain
yun bhi ek tarz-e-mudaraat chali jati hai
jab se is bazm ka dastur bani mohr-labi
rasm-e-iham-o-ishaaraat chali jati hai
nam marne pe bhi hai un ke wafadaron mein
kaam ruk jae magar baat chali jati hai
hota aaya hai gham-e-zist ibarat un se
garmi-e-bazm-e-KHayalat chali jati hai
aah bhar lijiye ro lijiye kah lijiye sher
wo giran-bari-e-jazbaat chali jati hai
hum kahan bazm-e-gah-e-naz kahan phir ye ghazal
arz-e-ahwal-e-shikayat chali jati hai

Ghazal
Un se wo rasm-e-mulaqat chali jati hai
Sajjad Baqar Rizvi