un ne kiya tha yaad mujhe bhul kar kahin
pata nahin hun tab se main apni KHabar kahin
aa jae aise jine se apna to ji ba-tang
jita rahega kab talak ai KHizr mar kahin
phirti rahi taDapti hi aalam mein ja-ba-ja
dekha na meri aah ne ru-e-asar kahin
muddat talak jahan mein hanste phira kiye
ji mein hai KHub roiye ab baiTh kar kahin
yun to nazar paDe hain dil-afgar aur bhi
dil rish koi aap sa dekha na par kahin
zalim jafa jo chahe so kar mujh pe tu wale
pachhtawe phir to aap hi aisa na kar kahin
phirte to ho banae saj apni jidhar tidhar
lag jawe dekhiyo na kasu ki nazar kahin
puchha main dard se ki bata tu sahi mujhe
ai KHanuman-KHarab hai tere bhi ghar kahin
kahne laga makan-e-muayyan faqir ko
lazim hai kya ki ek hi jagah ho har kahin
darwesh har kuja ki shab aamad sara-e-ust
tu ne suna nahin hai ye misra magar kahin
Ghazal
Un ne kiya tha yaad mujhe bhul kar kahin
Khwaja Meer u0027Dardu0027