un ko dekha to tabiat mein rawani aai
dil ke ujDe hue gulshan pe jawani aai
pyas kya us ki bujhaenge koi aariz-o-lab
lab-e-dariya na jise pyas bujhani aai
garmi-e-ranj-o-alam hi mein basar ki hum ne
zindagi mein to koi rut na suhani aai
us ka unwan tera nam hi rakkha hum ne
bhuli-bisri jo koi yaad kahani aai
hum mohabbat ka bhi minar bana sakte the
hum ko nafrat ki na diwar girani aai
dekh kar us gul-e-shadab ko ek mahfil mein
baad muddat ke phir ek yaad purani aai
aarzu dil ko thi ai 'soz' ghazal-KHwani ki
ras aai to hamein marsiya-KHwani aai

Ghazal
Un ko dekha to tabiat mein rawani aai
Sardar Soz