اردو हिंदी
Unki surat hamein aai thi pasand aankhon se | Shaahi Shayari
unki surat hamein aai thi pasand aankhon se

Ghazal

Unki surat hamein aai thi pasand aankhon se

Anwar Shuoor

;

un ki surat hamein aai thi pasand aankhon se
aur phir ho gai baala-o-buland aankhon se

koi zanjir nahin tar-e-nazar se mazbut
hum ne is chand pe Dali hai kamand aankhon se

Thahr sakti hai kahan us ruKH-e-taban pe nazar
dekh sakta hai use aadmi band aankhon se

hum uThate hain maza talKHi o shirini ka
mai piyale se pilata hai wo qand aankhon se

baat karte ho to hota hai zaban se sadma
dekhte ho to pahunchta hai gazand aankhon se

har mulaqat mein hoti hain hamare mabain
chand baaten lab-e-guftar se chand aankhon se

ishq mein hausla-mandi bhi zaruri hai 'shuur'
dekhiye us ki taraf hausla-mand aankhon se