un ki nigah-e-naz ke qabil kahen jise
wo jins-e-mo'atabar ho ata dil kahen jise
shab-KHana-e-hayat ki raunaq hai aaj tak
wo raushni farogh gham-e-dil kahen jise
kya DhunDte ho rah-raw-e-sarmaya-e-sukun
madum hai wo naqsh hi manzil kahen jise
ai iztirab-e-mauj-o-talatum tere siwa
wajh-e-sukun wo kaun hai sahil kahen jise
diwangi-e-ahl-e-junun par na jaiye
shaista-e-yaqin hai wo ghafil kahen jise
mearaj jis ko kahte hain sahra-e-ishq ki
wo hai bagula aaj bhi mahmil kahen jise
ghunchon pe kya guzar gai sun kar ye kya KHabar
wo lai KHarosh-e-qalb-e-anadil kahen jise
mamnun-e-iltifat bhi aksar hua hun main
us chashm-e-nim-baz ka qatil kahen jise
milta kahan hai ai 'raza' be-shorish-e-junun
aisa sukut garmi-e-mahfil kahen jise

Ghazal
Unki nigah-e-naz ke qabil kahen jise
Raza Jaunpuri