un ki chuTki mein dil na mal jata
to ye sikka hamara chal jata
shama tha yar jo pighal jata
aur main parwana tha jo jal jata
kya kahen sair ko wo gul na gaya
bagh ka rang hi badal jata
gor hi se na ban paDi warna
azhdaha to hamein nigal jata
ab to pistan nikaliye sahab
itne sin mein anar phal jata
sadme ghere hain hijr mein dam ko
sans pata to ye nigal jata
kya giraata 'saKHi' ye charKH mujhe
ya-'ali' kahta aur sambhal jata
Ghazal
Unki chuTki mein dil na mal jata
Sakhi Lakhnvi

