un ke milne ka ba-zahir to yaqin koi nahin
wo agar chahen koi shak hai nahin koi nahin
ai junun teri inayat se hai tanhai nasib
aur to sare bayaban mein kahin koi nahin
mutmain jab the to himmat ka tha sath apne hujum
Dar jahan hone laga hum ko wahin koi nahin
ishq ki rahon mein aaya hai ek aisa bhi maqam
sirf ek main hun wahan ahl-e-zamin koi nahin
ek din naqsh-e-qadam par mere ban jaegi rah
aaj sahra mein to tanha hun kahin koi nahin
Ghazal
Un ke milne ka ba-zahir to yaqin koi nahin
Damodar Thakur Zaki