un ke baghair hum jo gulistan mein aa gae
mahsus ye hua ki bayaban mein aa gae
tashhir-e-dil-giriftagi-e-husn ho gai
aansu chhalak ke chashm-e-pasheman mein aa gae
hum tark-e-rabt-o-zabt-e-mohabbat ke bawajud
sau bar khinch ke kucha-e-jaanan mein aa gae
phulon ko ras aaya na jab arsa-e-bahaar
gulshan se haT ke gosha-e-daman mein aa gae
har-chand ahl-e-hosh the arbab-e-zindagi
lekin fareb-e-gardish-e-dauran mein aa gae
aaya meri zaban pe yakayak jo un ka nam
kis kis ke hath mere gareban mein aa gae
chhup kar nigah-e-shauq se dil mein panah li
dil mein na chhup sake to rag-e-jaan mein aa gae
the muntashar azal mein jo zarraat-e-ku-e-dost
insan ban ke aalam-e-imkan mein aa gae
jinki ada ada mein hain ranaiyan 'shakil'
ashaar ban ke wo mere diwan mein aa gae
Ghazal
Un ke baghair hum jo gulistan mein aa gae
Shakeel Badayuni