اردو हिंदी
Un ka jalwa nahin dekha jata | Shaahi Shayari
un ka jalwa nahin dekha jata

Ghazal

Un ka jalwa nahin dekha jata

Hasan Barelvi

;

un ka jalwa nahin dekha jata
dekh dekha nahin dekha jata

qatl karne ki wo jaldi thi tumhein
ab taDapna nahin dekha jata

chashm-e-KHun-bar KHuda rahm kare
tera rona nahin dekha jata

ulfat unki nahin chhoDi jati
haal dil ka nahin dekha jata

dekhne hi ke liye hain aankhen
un se kya kya nahin dekha jata

par teri barq-e-tajalli ka jamal
KHub dekha nahin dekha jata

nama pura wo 'hasan' kya dekhen
nam pura nahin dekha jata