umr ki is naw ka chalna bhi kya rukna bhi kya
kirmak-e-shab hun mera jalna bhi kya bujhna bhi kya
ek nazar us chashm-e-tar ka meri jaanib dekhna
aab-shaar-e-nur ka phir KHak par girna bhi kya
zaKHm ka lagna hamein darkar tha so is ke baad
zaKHm ka risna bhi kya aur zaKHm ka bharna bhi kya
tere ghar tak aa chuki hai dur ke jangal ki aag
ab tera is aag se Darna bhi kya laDna bhi kya
dar dariche wa magar bazar-e-galiyan mohr-band
aise zalim shahr mein jina bhi kya marna bhi kya
tujh se ai sang-e-sada is reza reza daur mein
ek zara se dil ki KHatir dosti karna bhi kya

Ghazal
Umr ki is naw ka chalna bhi kya rukna bhi kya
Wazir Agha