umr jitni bhi kaTi us ke bharose pe kaTi
aur ab sochta hun us ka bharosa kya tha
tum ne achchha kiya daman ko bacha kar guzre
hum to bas rah ki miTTi the hamara kya tha
is liye aa ke tere shahr mein aabaad hue
hum ko is dasht-nawardi se bhi lena kya tha
ye agar sach hai ki hum us se bichhaD kar KHush the
raat din us ki taraf dekhte rahna kya tha
shauq-e-nazara ne aankhen hi nahin khulne din
ye kisi ko nahin malum ki dekha kya tha
panw mere bhi nahin uThte the ghar ki jaanib
tum bhi jate hue lauT aae the aisa kya tha
jal mein us ke giraftar to hona tha hamein
us ke jadu se nikalne ka tariqa kya tha
subh pahchan na paya koi surat teri
dil-e-hangama-talab raat tamasha kya tha
subh suraj bhi use dekhne aaya 'shahzad'
raat chamka tha jabin par jo sitara kya tha
Ghazal
Umr jitni bhi kaTi uske bharose pe kaTi
Shahzad Ahmad