umr guzri meri shirini-e-guftar ke sath
lab milae the kabhi main ne lab-e-yar ke sath
gham-e-jaanan ki aziyyat gham-e-duniya ka azab
zindagi main ne guzari baDe aazar ke sath
gard mein Dub gaya silsila-e-sham-o-sahar
waqt bhi chal nahin sakta meri raftar ke sath
meri KHuddar tabiat ne bachaya mujh ko
mera rishta kisi darbar na sarkar ke sath
dekhna kucha-e-jaanan mein kahin 'saif' na ho
ek saya sa nazar aata hai diwar ke sath

Ghazal
Umr guzri meri shirini-e-guftar ke sath
Saifuddin Saif