اردو हिंदी
Umr guzri hai kaamrani se | Shaahi Shayari
umr guzri hai kaamrani se

Ghazal

Umr guzri hai kaamrani se

Zakir Khan Zakir

;

umr guzri hai kaamrani se
koi shikwa nahin jawani se

misl-e-adam hai be-ghari apni
kaun Darta hai be-makani se

yun musalsal azab jhela hai
ashk lagne lage hain pani se

hum hi kirdar the kahani ke
hum hi bahar hue kahani se

sach chhupana muhaal hai sahab
jhuT se ya ki lan-tarani se

kya wo pariyan qamar-asir huin
sunte aae the hum jo nani se

zulmaton mein bhi hans ke khul jaana
us ne sikha hai raat-rani se

banjh aankhen huin magar 'zakir'
KHwab aate rahe rawani se