umr guzar jati hai qisse rah jate hain
pichhli rut ke bichhDe sathi yaad aate hain
logon ne batlaya hai hum ab aksar
baaten karte karte kahin kho jate hain
koi aise waqt mein hum se bichhDa hai
sham Dhale jab panchhi ghar lauT aate hain
apni hi aawaz sunai deti hai
warna to sannaTe hi sannaTe hain
dil ka ek Thikana hai par apna kya
sham jahan hoti hai wahin paD jate hain
kuchh din hasb-e-mansha bhi ji lene de
dekh teri ThuDDi mein hath lagate hain
Ghazal
Umr guzar jati hai qisse rah jate hain
Shamim Abbas