umr bhar pesh-e-nazar mah-e-tamam aate rahe
chand chehre aaina-KHane ke kaam aate rahe
chand qatre bhi na Tapke KHwahishon ki ret par
kaise kaise abr the baala-e-baam aate rahe
mere mazi ke ufuq par chand jugnu the ki jo
haal ki tira-shabi mein mere kaam aate rahe
main hawas ke gird chahat ka hunar banta raha
us ke KHat meri wafadari ke nam aate rahe
hae wo shirin tamanna aur wo tiflana KHu
hum sada jis ke liye KHud zer-e-dam aate rahe
tum hisar-e-waqt mein suraj bane baiThe rahe
aur gardish ke liye KHud subh o sham aate rahe
umr bhar KHwabon ki manzil ka safar jari raha
zindagi bhar tajrabon ke zaKHm kaam aate rahe

Ghazal
Umr bhar pesh-e-nazar mah-e-tamam aate rahe
Raunaq Raza