umr-bhar KHun se likkha hai jis afsane ko
kitna kam rang hai us shoKH ke nazrane ko
khilti rahti hain tere pyar ki kaliyan har-su
bagh nilam na kar den mere virane ko
mai se raghbat to mujhe bhi hai magar bas itni
nachte dekh liya dur se paimane ko
aur marta kahin ja kar tere dar se lekin
hosh itna bhi kahan tha tere diwane ko
kya KHabar thi ye tera dar ye tera kucha hai
main to bas baiTh gaya tha zara sustane ko
shama jalne ki ijazat nahin deti 'aKHtar'
shauq bujhne nahin deta mere parwane ko

Ghazal
Umr-bhar KHun se likkha hai jis afsane ko
Saeed Ahmad Akhtar