umr bhar kawish-e-izhaar ne sone na diya
harf-e-na-gufta ke aazar ne sone na diya
dasht ki wusat-e-be-qaid mein kya nind aati
ghar ki qaid-e-dar-o-diwar ne sone na diya
thak ke so rahne ko raste mein Thikane the bahut
hawas-e-saya-e-diwar ne sone na diya
kabhi iqrar ki lazzat ne jagae rakkha
kabhi andesha-e-inkar ne sone na diya
ho gai subh badalte rahe pahlu shab bhar
ek karwaT pe dil-e-zar ne sone na diya

Ghazal
Umr bhar kawish-e-izhaar ne sone na diya
Saleem Ahmed