umr baqi rah-e-jaanan mein basar hone ko hai
aaj apni saKHt-jaani sang-e-dar hone ko hai
aalam-e-piri mein hai dagh-e-jawani ka farogh
ye charagh-e-sham KHurshid-e-sahar hone ko hai
aamad-e-piri mein ghaflat hai jawani ki wahi
nind se aankhen nahin khultin sahar hone ko hai
hum ko ruswa kar ke ruswai se bachna hai muhaal
tu bhi tashhir ai nigah-e-fitna-gar hone ko hai
dagh-e-isyan ek taraf ashk-e-nadamat ek taraf
nuh ke tufan se jang-e-sharar hone ko hai
kaun si dhun ho gai dekhen dil-e-sad-pash ko
ye shikasta saz kis naghme ka ghar hone ko hai
KHalwat o kasrat mein mujh se puchhti hai bekasi
us taraf ho jaun main bhi tu jidhar hone ko hai
yusuf-e-mazmun ko lae fikr-e-kuhna ai 'munir'
ye zuleKHa naujawan bar-e-digar hone ko hai
Ghazal
Umr baqi rah-e-jaanan mein basar hone ko hai
Muneer Shikohabadi

