umid ki koi chadar to samne aae
main ruk bhi jaun tera ghar to samne aae
main rah-e-ishq mein KHud ko fana bhi kar dunga
mare habib wo manzar to samne aae
hamare bazu ka duniya kamal dekhegi
adu ka koi bhi lashkar to samne aae
mein ehtiram se dastar is ke sar bandhun
wo fan-shanas suKHnawar to samne aae
karunga umr bhar us par main pyar ki barish
wo KHush-jamal sa paikar to samne aae
sar-e-niyaz jhukega KHud us ke qadmon mein
wo le ke hath mein KHanjar to samne aae
mein ek sang hun mujh mein hain suraten pinhan
mujhe tarashne aazar to samne aae
fida-e-ishq hun marne ka Dar nahin 'firdaus'
mujhe Dubone samundar to samne aae
Ghazal
Umid ki koi chadar to samne aae
Firdaus Gayavi