uljhanon mein kaise itminan-e-dil paida karen
bijliyon mein rah ke tinkon ka bharosa kya karen
zabt aansu jab kiye to uchhla chehre par lahu
gham ki maujen rokne se rasta paida karen
kahte hain qissa zamane se yahi tashwish hai
si liye hain lab magar in aansuon ko kya karen
hum bhi bande hain hamein bhi maqdarat itni to hai
wo KHuda ban jae jis ke samne sajda karen
taqat-e-didar zahir aur aankhon ko ye shauq
bas tumhein dekha karen dekha karen dekha karen
chahte ye hain ki rah-e-zindagi hamwar ho
sochte ye hain ki duniya ko tah-o-baala karen
bewafa suraj Dhala jata hai chashm-e-shauq se
aur kab tak e'tibar-e-wada-e-farda karen
maslahat ka ye taqaza hai ki hansna chahiye
bazm-e-hasti mein 'saba' kab tak gham-e-duniya karen

Ghazal
Uljhanon mein kaise itminan-e-dil paida karen
Saba Akbarabadi