uljha dil-e-sitam-zada zulf-e-butan se aaj
nazil hui bala mere sar par kahan se aaj
taDpunga hijr-e-yar mein hai raat chaudhwin
tan chandni mein hoga muqabil katan se aaj
do-chaar rashk-e-mah bhi hamrah chahiyen
wada hai chandni mein kisi mehrban se aaj
hangam-e-wasl radd-o-badal mujh se hai abas
niklega kuchh na kaam nahin aur han se aaj
qar-e-badan mein ruh pukari ye waqt-e-naza
muddat ke baad uThte hain hum is makan se aaj
khinchi hai charKH ne bhi kisi mang ki shabih
sabit hui ye baat mujhe kahkashan se aaj
andher tha nigah-e-'amanat' mein sham sahar
tum chand ki tarah nikal aae kahan se aaj
Ghazal
Uljha dil-e-sitam-zada zulf-e-butan se aaj
Amanat Lakhnavi